junun wale bil-aKHir shahkaron se nikal aae
junūñ vaale bil-āḳhir shāhkāroñ se nikal aa.e
sabhī shāh-e-jahāñ apne mazāroñ se nikal aa.e
hameñ sailāb kā Dar bastiyoñ se khīñch laayā thā
ka.ī aaseb shahroñ ke kināroñ se nikal aa.e
maiñ kal raat apnī vīrānī pe royā is qadar royā
sabhī kho.e hue chehre sitāroñ se nikal aa.e
nisāboñ meñ huī tarmīm rangoñ par shabāb aayā
na.e mā'nī purāne ishtihāroñ se nikal aa.e
kisī ke haath āzādī kā parvāna nahīñ aayā
bachā kar jaan ham tīmār-dāroñ se nikal aa.e
junun wale bil-aKHir shahkaron se nikal aae
sabhi shah-e-jahan apne mazaron se nikal aae
hamein sailab ka Dar bastiyon se khinch laya tha
kai aaseb shahron ke kinaron se nikal aae
main kal raat apni virani pe roya is qadar roya
sabhi khoe hue chehre sitaron se nikal aae
nisabon mein hui tarmim rangon par shabab aaya
nae ma'ni purane ishtihaaron se nikal aae
kisi ke hath aazadi ka parwana nahin aaya
bacha kar jaan hum timar-daron se nikal aae
- Book : Aakhiri Ishq Sabse Pahle Kiya (Pg. 62)
- Author : Nomaan Shauque
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.