jurat-e-izhaar ka uqda yahan kaise khule
jur.at-e-iz.hār kā uqda yahāñ kaise khule
maslahat kā biim dil meñ hai zabāñ kaise khule
be-dilī se hai rag-o-pai meñ lahū Thahrā huā
aañkh meñ poshīda zaḳhmoñ kā nishāñ kaise khule
dām-e-sāhil hai safīne kī asīrī kā sabab
sar paTaktā huuñ ki ab ye bādbāñ kaise khule
harf-e-mub.ham kī tarah aurāq-e-roz-o-shab meñ huuñ
raaz āḳhir dushmanoñ ke darmiyāñ kaise khule
har ghaḌī dastak koī detā hai andar se mujhe
sochtā rahtā huuñ bāb-e-jism-o-jāñ kaise khule
lafz haiñ shāhid mirī tahrīr ke afsurda lab
sher meñ poshīda ma.anī kā jahāñ kaise khule
jurat-e-izhaar ka uqda yahan kaise khule
maslahat ka bim dil mein hai zaban kaise khule
be-dili se hai rag-o-pai mein lahu Thahra hua
aankh mein poshida zaKHmon ka nishan kaise khule
dam-e-sahil hai safine ki asiri ka sabab
sar paTakta hun ki ab ye baadban kaise khule
harf-e-mubham ki tarah auraq-e-roz-o-shab mein hun
raaz aaKHir dushmanon ke darmiyan kaise khule
har ghaDi dastak koi deta hai andar se mujhe
sochta rahta hun bab-e-jism-o-jaan kaise khule
lafz hain shahid meri tahrir ke afsurda lab
sher mein poshida mani ka jahan kaise khule
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.