jurm kya hai jo rahen aap ke hum dil ke qarib
jurm kyā hai jo raheñ aap ke ham dil ke qarīb
kyā nahīñ rahte sitāre mah-e-kāmil ke qarīb
jā ke kahtī hai jafā panja-e-qātil ke qarīb
aur kuchh der Thahar jā.iye bismil ke qarīb
kyā sabab hai ki uThā shor gulistāñ meñ nadīm
fasl-e-gul aa.ī ki vo aa.e anādil ke qarīb
zindagī karte haiñ jo sīna-e-dariyā pe basar
lutf kyā ḳhaak milegā unheñ sāhil ke qarīb
ham vo parvarda-e-tūfāñ haiñ pas-e-marg jinheñ
dafn honā bhī gavārā nahīñ sāhil ke qarīb
aa hī jā.eñge nazar chashm-e-basīrat ho agar
vo yahīñ hoñge yahīñ hoñge kahīñ dil ke qarīb
tum qarīb itne mire aao ki miT jaa.e duī
fāsla ye bhī bahut hai ki raheñ dil ke qarīb
dil tirā gar na bane aa.ina merā zimma
rah ke tū dekh to le jauhar-e-qābil ke qarīb
be-kasī rotī hai us ābla-pā rahrav par
thak ke jo baiTh gayā raah meñ manzil ke qarīb
aks ko un ke basā letā maiñ āñkhoñ meñ 'kamāl'
kaash vo aate kabhī dīda-e-bismil ke qarīb
jurm kya hai jo rahen aap ke hum dil ke qarib
kya nahin rahte sitare mah-e-kaamil ke qarib
ja ke kahti hai jafa panja-e-qatil ke qarib
aur kuchh der Thahar jaiye bismil ke qarib
kya sabab hai ki uTha shor gulistan mein nadim
fasl-e-gul aai ki wo aae anadil ke qarib
zindagi karte hain jo sina-e-dariya pe basar
lutf kya KHak milega unhen sahil ke qarib
hum wo parwarda-e-tufan hain pas-e-marg jinhen
dafn hona bhi gawara nahin sahil ke qarib
aa hi jaenge nazar chashm-e-basirat ho agar
wo yahin honge yahin honge kahin dil ke qarib
tum qarib itne mere aao ki miT jae dui
fasla ye bhi bahut hai ki rahen dil ke qarib
dil tera gar na bane aaina mera zimma
rah ke tu dekh to le jauhar-e-qabil ke qarib
be-kasi roti hai us aabla-pa rahraw par
thak ke jo baiTh gaya rah mein manzil ke qarib
aks ko un ke basa leta main aankhon mein 'kamal'
kash wo aate kabhi dida-e-bismil ke qarib
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.