justaju-e-bahaar karta hun
justajū-e-bahār kartā huuñ
dil ko ḳhud sharmsār kartā huuñ
un ke va.ade kā e.atibār nahīñ
phir bhī maiñ intizār kartā huuñ
josh-e-dīvāngī baḌhā itnā
apne dāman ko taar kartā huuñ
tum ko hoñge aziiz gul-būTe
maiñ to ḳhāroñ se pyaar kartā huuñ
kah do bijlī se ab Thahar jaa.e
āshiyāñ kā hisār kartā huuñ
ab qarār aa.egā na 'paikar' ko
aa ajal intizār kartā huuñ
justaju-e-bahaar karta hun
dil ko KHud sharmsar karta hun
un ke wade ka eatibar nahin
phir bhi main intizar karta hun
josh-e-diwangi baDha itna
apne daman ko tar karta hun
tum ko honge aziz gul-buTe
main to KHaron se pyar karta hun
kah do bijli se ab Thahar jae
aashiyan ka hisar karta hun
ab qarar aaega na 'paikar' ko
aa ajal intizar karta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.