justuju ab kahan baqi hai tujhe pane ki
justujū ab kahāñ baaqī hai tujhe paane kī
ek hī zid hai zamāne se guzar jaane kī
maiñ vo sahrā huuñ jo har samt se bikhrā huā hai
aur isī sahrā se ḳhvāhish hai ulajh jaane kī
hijr meñ ab kahāñ miltā hai sukūñ pahle sā
aur bikhrī huī har chiiz hai kāshāne kī
shahr kī bhiiḌ meñ gum ho ga.e mai-ḳhvār sabhī
raunaqeñ pahlī sī baaqī nahīñ maiḳhāne kī
ham to zinda haiñ tirī chaah meñ pyārī duniyā
aur talab kuchh bhī nahīñ hai tire dīvāne kī
justuju ab kahan baqi hai tujhe pane ki
ek hi zid hai zamane se guzar jaane ki
main wo sahra hun jo har samt se bikhra hua hai
aur isi sahra se KHwahish hai ulajh jaane ki
hijr mein ab kahan milta hai sukun pahle sa
aur bikhri hui har chiz hai kashane ki
shahr ki bhiD mein gum ho gae mai-KHwar sabhi
raunaqen pahli si baqi nahin maiKHane ki
hum to zinda hain teri chah mein pyari duniya
aur talab kuchh bhi nahin hai tere diwane ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.