justuju-e-manzil ke raste hazaron hain
justujū-e-manzil ke rāste hazāroñ haiñ
koī qāfila chun lo qāfile hazāroñ haiñ
sang-o-shīsha Takrā kar TūTte haiñ to TūTeñ
be-shumār patthar haiñ aa.ine hazāroñ haiñ
log jhuuT kahte haiñ ḳhush haiñ zindagānī meñ
aadmī kī hastī meñ mas.ale hazāroñ haiñ
ye na samjho maqtal kī ḳhatm ho ga.iiñ rasmeñ
ab bhī āzmā.ish ke marhale hazāroñ haiñ
maiñ huuñ ek parvāna jaan duuñ to kis par duuñ
be-shumār sham.eñ haiñ aur diye hazāroñ haiñ
bijliyāñ bahut sī haiñ ai falak tire sar meñ
is zamīñ ke dil meñ bhī zalzale hazāroñ haiñ
diin se bhalā koī falsafa nahīñ 'merāj'
vaise is zamāne meñ falsafe hazāroñ haiñ
justuju-e-manzil ke raste hazaron hain
koi qafila chun lo qafile hazaron hain
sang-o-shisha Takra kar TuTte hain to TuTen
be-shumar patthar hain aaine hazaron hain
log jhuT kahte hain KHush hain zindagani mein
aadmi ki hasti mein masale hazaron hain
ye na samjho maqtal ki KHatm ho gain rasmen
ab bhi aazmaish ke marhale hazaron hain
main hun ek parwana jaan dun to kis par dun
be-shumar shamen hain aur diye hazaron hain
bijliyan bahut si hain ai falak tere sar mein
is zamin ke dil mein bhi zalzale hazaron hain
din se bhala koi falsafa nahin 'meraj'
waise is zamane mein falsafe hazaron hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.