justuju sine mein jab azm-e-jawan khinchti hai
justujū siine meñ jab azm-e-javāñ khīñchtī hai
nok-e-tesha pe koī koh-e-girāñ khīñchtī hai
tum ho show-case meñ rakkhī huī guḌiyā kī misāl
maiñ vo bachcha jise mele meñ dukāñ khīñchtī hai
ek ummīd ke dam se hai tabassum lab par
ek hasrat hai ki siine meñ fuġhāñ khīñchtī hai
mere siine meñ tajassus kī panaptī huī huuk
tere siine se koī rāz-e-nihāñ khīñchtī hai
sard-āhoñ ke tasalsul meñ tamanna hai koī
saañs dar saañs jo cigarette kā dhuāñ khīñchtī hai
ik taraf khīñchtī hai dahr meñ rahne kī havas
ik taraf Dhaltī huī umr-e-ravāñ khīñchtī hai
justuju sine mein jab azm-e-jawan khinchti hai
nok-e-tesha pe koi koh-e-giran khinchti hai
tum ho show-case mein rakkhi hui guDiya ki misal
main wo bachcha jise mele mein dukan khinchti hai
ek ummid ke dam se hai tabassum lab par
ek hasrat hai ki sine mein fughan khinchti hai
mere sine mein tajassus ki panapti hui huk
tere sine se koi raaz-e-nihan khinchti hai
sard-ahon ke tasalsul mein tamanna hai koi
sans dar sans jo cigarette ka dhuan khinchti hai
ek taraf khinchti hai dahr mein rahne ki hawas
ek taraf Dhalti hui umr-e-rawan khinchti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.