jun qadam yar ne ghar se mere dar par rakkha
jun qadam yar ne ghar se mere dar par rakkha
Shah Kamaluddin Kamal
MORE BYShah Kamaluddin Kamal
juuñ qadam yaar ne ghar se mire dar par rakkhā
sar rakhā zaanū pe maiñ haath jigar par rakkhā
ham ko sayyād ne rakkhā jo qafas meñ to aah
dast-e-shafqat kabhī zālim ne na sar par rakkhā
sañg-e-rah us kī galī kā jo koī haath aayā
misl-e-gul maiñ ne uThā kar use sar par rakkhā
baiThe baiThe tujhe kaun aa gayā yaad aaj 'kamāl'
tū ne rūmāl jo le dīda-e-tar par rakkhā
jun qadam yar ne ghar se mere dar par rakkha
sar rakha zanu pe main hath jigar par rakkha
hum ko sayyaad ne rakkha jo qafas mein to aah
dast-e-shafqat kabhi zalim ne na sar par rakkha
sang-e-rah us ki gali ka jo koi hath aaya
misl-e-gul main ne uTha kar use sar par rakkha
baiThe baiThe tujhe kaun aa gaya yaad aaj 'kamal'
tu ne rumal jo le dida-e-tar par rakkha
- Book : Noquush (Pg. B-417 E427)
- Publication : Nuqoosh Press Lahore (May June 1954)
- Edition : May June 1954
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.