junhi dekha teri raushan-jabin ka nur KHalwat mein
jūñhī dekhā tirī raushan-jabīñ kā nuur ḳhalvat meñ
hai mahv-e-rashk koh-e-qāf kī vo huur ḳhalvat meñ
tirī yādoñ ne kar Daalā hameñ majbūr ḳhalvat meñ
chhalak uTThā hai palkoñ se ġham-e-mastūr ḳhalvat meñ
mirī sāñseñ mahaktī haiñ tirī ḳhushbū se aksar yuuñ
juuñ koī ġhuncha-e-dil ho tirā mazkūr ḳhalvat meñ
aziyyat-nāk rātoñ meñ sisaktī haiñ tumhāre bin
mire kamre kī dīvāreñ ġhamoñ se chuur ḳhalvat meñ
shikam ḳhālī badan nangā hai pairoñ meñ thakan pahne
liye bachchoñ ko rotā hai koī mazdūr ḳhalvat meñ
shab-e-hijrāñ kī tanhā.ī tirī furqat kā ġham is par
shikasta dil hai yuuñ bhī zabt se māmūr ḳhalvat meñ
vabā phailī hai aalam meñ jidhar dekho udhar 'afzal'
munāsib hai ki rahiye ab sabhī se duur ḳhalvat meñ
junhi dekha teri raushan-jabin ka nur KHalwat mein
hai mahw-e-rashk koh-e-qaf ki wo hur KHalwat mein
teri yaadon ne kar Dala hamein majbur KHalwat mein
chhalak uTTha hai palkon se gham-e-mastur KHalwat mein
meri sansen mahakti hain teri KHushbu se aksar yun
jun koi ghuncha-e-dil ho tera mazkur KHalwat mein
aziyyat-nak raaton mein sisakti hain tumhaare bin
mere kamre ki diwaren ghamon se chur KHalwat mein
shikam KHali badan nanga hai pairon mein thakan pahne
liye bachchon ko rota hai koi mazdur KHalwat mein
shab-e-hijran ki tanhai teri furqat ka gham is par
shikasta dil hai yun bhi zabt se mamur KHalwat mein
waba phaili hai aalam mein jidhar dekho udhar 'afzal'
munasib hai ki rahiye ab sabhi se dur KHalwat mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.