juz dast-e-lutf kuchh na chahen
juz dast-e-lutf kuchh na chāheñ
sahmī huī multajī nigāheñ
gul-dān meñ taaza phuul dekhe
do chañd huiiñ hamārī aaheñ
haiñ ḳhalvat-e-be-kasī meñ giryāñ
sun kar tahzīb kī karāheñ
chalnā thā bichhaḌ ke bhī bahut kuchh
tum kaT ga.e par kaTī na rāheñ
patte the bichhaḌ ke maut hī thī
jaañ dene pe log kyoñ sarāheñ
ham bhuul ga.e haiñ chashm-bastan
dekhī thiiñ tirī kushāda bāñheñ
sah ḳhanjar-e-ḳhanda tīr-e-ta.ana
apnī aqdār se nibāheñ
juz dast-e-lutf kuchh na chahen
sahmi hui multaji nigahen
gul-dan mein taza phul dekhe
do chand huin hamari aahen
hain KHalwat-e-be-kasi mein giryan
sun kar tahzib ki karahen
chalna tha bichhaD ke bhi bahut kuchh
tum kaT gae par kaTi na rahen
patte the bichhaD ke maut hi thi
jaan dene pe log kyon sarahen
hum bhul gae hain chashm-bastan
dekhi thin teri kushada banhen
sah KHanjar-e-KHanda tir-e-tana
apni aqdar se nibahen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.