juz tere mere pesh-e-nazar kuchh bhi nahin hai
juz tere mire pesh-e-nazar kuchh bhī nahīñ hai
tū saath ho phir ḳhauf-o-ḳhatar kuchh bhī nahīñ hai
ik kashf-e-mohabbat se badal jaatā hai kyā kuchh
ab tāroñ kī gardish kā asar kuchh bhī nahīñ hai
har roz na.e pahlū se samjhā karūñ tujh ko
gum aisī huuñ ki ḳhud kī ḳhabar kuchh bhī nahīñ hai
ḳhushbū kī tarah an-kahe ehsās samajh tū
hasrat hai bahut kahnā magar kuchh bhī nahīñ hai
sab kuchh hai tujhī se ai ḳhayābān-e-mohabbat
bin tere ye aalam ye nagar kuchh bhī nahīñ hai
tū hī ġham-e-daurāñ meñ qarīb-e-rag-e-jāñ hai
māñjhī ho jo tujh sā to bhañvar kuchh bhī nahīñ hai
ik tere hī ehsās se mānūs hai ye dil
ehsās kā unvān-e-digar kuchh bhī nahīñ hai
juz tere mere pesh-e-nazar kuchh bhi nahin hai
tu sath ho phir KHauf-o-KHatar kuchh bhi nahin hai
ek kashf-e-mohabbat se badal jata hai kya kuchh
ab taron ki gardish ka asar kuchh bhi nahin hai
har roz nae pahlu se samjha karun tujh ko
gum aisi hun ki KHud ki KHabar kuchh bhi nahin hai
KHushbu ki tarah an-kahe ehsas samajh tu
hasrat hai bahut kahna magar kuchh bhi nahin hai
sab kuchh hai tujhi se ai KHayaban-e-mohabbat
bin tere ye aalam ye nagar kuchh bhi nahin hai
tu hi gham-e-dauran mein qarib-e-rag-e-jaan hai
manjhi ho jo tujh sa to bhanwar kuchh bhi nahin hai
ek tere hi ehsas se manus hai ye dil
ehsas ka unwan-e-digar kuchh bhi nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.