juzw-e-jaan rahta hai daim jo gham-e-jaan ho kar
juzv-e-jāñ rahtā hai daa.im jo ġham-e-jāñ ho kar
aql taktī hai use shashdar-o-hairāñ ho kar
sochtā huuñ ki vahī manzil-e-idrāk na ho
zehn baiThā hai jahāñ sar-ba-garebāñ ho kar
jal-bujhe ḳhaak hue us pe qayāmat ye hai
ham ko jiinā bhī paḌā soḳhta-sāmāñ ho kar
qissa-e-ḳhāna-e-barbād na pūchho ham se
ab vatan meñ kabhī jā.eñge to mehmāñ ho kar
mujh ko kar detī haiñ ilhām-e-bashar kā qaa.il
merī ḳhushiyāñ tire chehre se numāyāñ ho kar
un se va.ada bhī liyā dil kī ḳhalish bhī na miTī
muft rusvā hue sharminda-e-ehsāñ ho kar
kyā chalā.egā vo girdāb meñ kashtī ai 'arsh'
mauj-e-sāhil bhī Darā.e jise tūfāñ ho kar
juzw-e-jaan rahta hai daim jo gham-e-jaan ho kar
aql takti hai use shashdar-o-hairan ho kar
sochta hun ki wahi manzil-e-idrak na ho
zehn baiTha hai jahan sar-ba-gareban ho kar
jal-bujhe KHak hue us pe qayamat ye hai
hum ko jina bhi paDa soKHta-saman ho kar
qissa-e-KHana-e-barbaad na puchho hum se
ab watan mein kabhi jaenge to mehman ho kar
mujh ko kar deti hain ilham-e-bashar ka qail
meri KHushiyan tere chehre se numayan ho kar
un se wada bhi liya dil ki KHalish bhi na miTi
muft ruswa hue sharminda-e-ehsan ho kar
kya chalaega wo girdab mein kashti ai 'arsh'
mauj-e-sahil bhi Darae jise tufan ho kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.