kabe ka pata aur kalisa ka nishan aur
kabe ka pata aur kalisa ka nishan aur
Uma Shankar Shadan Gwaliori
MORE BYUma Shankar Shadan Gwaliori
ka.abe kā pata aur kalīsā kā nishāñ aur
ye kyā ki vahī baat yahāñ aur vahāñ aur
māthe pe baḌhā lījiye jhūmar ke nishāñ aur
ban jā.egī gardūñ ke liye kāhkashāñ aur
paayā thā hamāre hī dil-e-zār kā TukḌā
ā.īna banāyā thā sikandar ne kahāñ aur
maiñ ne na banāyā kabhī mumtāz kā rauza
thī merī ḳhalish aur ġham-e-shāh-jahāñ aur
jaarī rahe sar-garmī-e-alfāz-o-ma.ānī
haañ soz-e-bayāñ soz-e-bayāñ soz-e-bayāñ aur
'shādāñ' kabhī dekhe to taḌap jaa.e zamāna
hote haiñ ġham-e-dil kī salīboñ ke nishāñ aur
kabe ka pata aur kalisa ka nishan aur
ye kya ki wahi baat yahan aur wahan aur
mathe pe baDha lijiye jhumar ke nishan aur
ban jaegi gardun ke liye kahkashan aur
paya tha hamare hi dil-e-zar ka TukDa
aaina banaya tha sikandar ne kahan aur
main ne na banaya kabhi mumtaz ka rauza
thi meri KHalish aur gham-e-shah-jahan aur
jari rahe sar-garmi-e-alfaz-o-maani
han soz-e-bayan soz-e-bayan soz-e-bayan aur
'shadan' kabhi dekhe to taDap jae zamana
hote hain gham-e-dil ki salibon ke nishan aur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.