kabe ka tamannai hai koi mushtaq koi but-KHane ka
ka.abe kā tamannā.ī hai koī mushtāq koī but-ḳhāne kā
in aql ke dīvāne se judā aalam hai tire dīvāne kā
nāseh tū nasīhat dil ko na kar mauqa ye nahīñ samjhāne kā
jaanā hai sū-e-bazm-e-jānāñ ik soz liye parvāne kā
is rang-birangī duniyā meñ ārām-o-sukūñ kā naam nahīñ
dīvānoñ ke dil se to pūchho kyā aalam hai vīrāne kā
ik ālam-e-kaif-o-mastī meñ dāḳhil jo hue maiḳhāne meñ
saaqī ko kiyā sajda jhuk kar muñh chuum liyā paimāne kā
kah do ye farāġhat vāloñ se duniyā meñ sañbhal kar rahnā hai
kal tak jo yahāñ āsūda thā muhtāj hai daane daane kā
sab muft gañvāyā paas jo thā ab 'zabt' chalo tum apne ghar
jī bhar ke tamāshā dekh chuke duniyā ke ajā.ib-ḳhāne kā
kabe ka tamannai hai koi mushtaq koi but-KHane ka
in aql ke diwane se juda aalam hai tere diwane ka
naseh tu nasihat dil ko na kar mauqa ye nahin samjhane ka
jaana hai su-e-bazm-e-jaanan ek soz liye parwane ka
is rang-birangi duniya mein aaram-o-sukun ka nam nahin
diwanon ke dil se to puchho kya aalam hai virane ka
ek aalam-e-kaif-o-masti mein daKHil jo hue maiKHane mein
saqi ko kiya sajda jhuk kar munh chum liya paimane ka
kah do ye faraghat walon se duniya mein sanbhal kar rahna hai
kal tak jo yahan aasuda tha muhtaj hai dane dane ka
sab muft ganwaya pas jo tha ab 'zabt' chalo tum apne ghar
ji bhar ke tamasha dekh chuke duniya ke ajaib-KHane ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.