kabe se ranj hai na adawat kunisht se
ka.abe se ranj hai na adāvat kunisht se
dil ye bahal na pā.egā apnā bahisht se
is aarzū meñ ek hī pal ko sukūñ mile
ham dil badal rahe haiñ tire sang-o-ḳhisht se
ik tum hī the na jis ko kabhī raas aa sakī
duniyā ye chal rahī hai mirī sarguzisht se
rāh-e-vafā meñ ab kyā luTāoge soch lo
dāḳhil to ho ga.e ho dil-o-jāñ kī kisht se
jis se azāb-e-ishq kī tāqat meñ ho kamī
muñh ham nahīñ lagāte kabhī us palisht se
dil hai ke raqs kartā hai zanjīr bāñdh kar
lag kar kahīñ na baiThā ho ye ahl-e-chisht se
har gosha hai sukūn ke āb-e-baqā se tar
bāhar nikal ke dekh zarā ḳhūb-o-zisht se
baḌh kar junūñ ne kar hī diyā āsmāñ buland
ta.alīm le rahā thā vo merī sarisht se
Thahro 'nadīm' saañs to lene do zo.af meñ
ghabrā rahā hai ishq mire sar-navisht se
kabe se ranj hai na adawat kunisht se
dil ye bahal na paega apna bahisht se
is aarzu mein ek hi pal ko sukun mile
hum dil badal rahe hain tere sang-o-KHisht se
ek tum hi the na jis ko kabhi ras aa saki
duniya ye chal rahi hai meri sarguzisht se
rah-e-wafa mein ab kya luTaoge soch lo
daKHil to ho gae ho dil-o-jaan ki kisht se
jis se azab-e-ishq ki taqat mein ho kami
munh hum nahin lagate kabhi us palisht se
dil hai ke raqs karta hai zanjir bandh kar
lag kar kahin na baiTha ho ye ahl-e-chisht se
har gosha hai sukun ke aab-e-baqa se tar
bahar nikal ke dekh zara KHub-o-zisht se
baDh kar junun ne kar hi diya aasman buland
talim le raha tha wo meri sarisht se
Thahro 'nadim' sans to lene do zoaf mein
ghabra raha hai ishq mere sar-nawisht se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.