kafir ko baad mein hi musalman kijiye
kāfir ko baad meñ hī musalmān kījiye
pahle to aadmī hī ko insān kījiye
ābād ab to ye dil-e-vīrān kījiye
mehmān kar ke ḳhātir-e-mehmān kījiye
us but se baat kījiye na saum-o-salāt kī
kuchh to ḳhayāl dushman-e-īmān kījiye
mehr-o-vafā ke baab meñ diije na daḳhl aap
mujh par ye mehrbānī meherbān kījiye
merī sazā jazā ai farishto na tolnā
pahle zarā marammat-e-mīzān kījiye
ghabrā.iye na dekh ke siine kā zer-o-bam
ma.alūm pahle bā.is-e-haijān kījiye
dekho na māh-ruḳh ko kahīñ bad-nazar lage
kuchh ehtimām hāfiz-e-qur.ān kījiye
baiThā rahūñ hamesha yūñhī aap ke huzūr
mujh par mire huzūr ye ehsān kījiye
aa.e to chaar din ko magar saal ho ga.e
'shāhid' yahāñ se kuuch kā sāmān kījiye
kafir ko baad mein hi musalman kijiye
pahle to aadmi hi ko insan kijiye
aabaad ab to ye dil-e-viran kijiye
mehman kar ke KHatir-e-mehman kijiye
us but se baat kijiye na saum-o-salat ki
kuchh to KHayal dushman-e-iman kijiye
mehr-o-wafa ke bab mein dije na daKHl aap
mujh par ye mehrbani meherban kijiye
meri saza jaza ai farishto na tolna
pahle zara marammat-e-mizan kijiye
ghabraiye na dekh ke sine ka zer-o-bam
malum pahle bais-e-haijaan kijiye
dekho na mah-ruKH ko kahin bad-nazar lage
kuchh ehtimam hafiz-e-quran kijiye
baiTha rahun hamesha yunhi aap ke huzur
mujh par mere huzur ye ehsan kijiye
aae to chaar din ko magar sal ho gae
'shahid' yahan se kuch ka saman kijiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.