kaghaz kab tak dhyan mein rakkha jaega
kāġhaz kab tak dhyān meñ rakkhā jā.egā
āḳhir kūḌe-dān meñ rakkhā jā.egā
āñkhoñ kī is baar rihā.ī mumkin hai
ḳhvāboñ ko zindān meñ rakkhā jā.egā
sab ko dil ke kamre tak kab lā.eñge
kuchh logoñ ko lawn meñ rakkhā jā.egā
bātoñ se jab peT kā kamra bhar jaa.e
to phir in ko kaan meñ rakkhā jā.egā
jis ko chāhe hoñT uThā kar le jaa.eñ
lafzoñ ko maidān meñ rakkhā jā.egā
ham kab qabr kī miTTī ke haath ā.eñge
ham ko to dīvān meñ rakkhā jā.egā
kaghaz kab tak dhyan mein rakkha jaega
aaKHir kuDe-dan mein rakkha jaega
aankhon ki is bar rihai mumkin hai
KHwabon ko zindan mein rakkha jaega
sab ko dil ke kamre tak kab laenge
kuchh logon ko lawn mein rakkha jaega
baaton se jab peT ka kamra bhar jae
to phir in ko kan mein rakkha jaega
jis ko chahe honT uTha kar le jaen
lafzon ko maidan mein rakkha jaega
hum kab qabr ki miTTi ke hath aaenge
hum ko to diwan mein rakkha jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.