kaghazi naw chalate rahe hum pani par
kāġhazī naav chalāte rahe ham paanī par
dil ko mā'mūr kiyā ġham kī nigahbānī par
maiñ taḌap jaatā thā kal jin kī pareshānī par
ab vahī hañste haiñ dekho mirī vīrānī par
ab kisī baat pe hairānī nahīñ hotī mujhe
log hairān huā karte haiñ hairānī par
ham pe āsānī kahāñ khultī hai āsānī se
fauqiyat dete haiñ mushkil ko hī āsānī par
mumtahin 'ishq ke ab ahl-e-havas haiñ shāyad
puure number nahīñ milte hameñ nādānī par
haar kar dil jise sab sauñp diyā thā 'āmir'
vo bhī raazī na huā dil kī jahāñbānī par
kaghazi naw chalate rahe hum pani par
dil ko ma'mur kiya gham ki nigahbani par
main taDap jata tha kal jin ki pareshani par
ab wahi hanste hain dekho meri virani par
ab kisi baat pe hairani nahin hoti mujhe
log hairan hua karte hain hairani par
hum pe aasani kahan khulti hai aasani se
fauqiyat dete hain mushkil ko hi aasani par
mumtahin 'ishq ke ab ahl-e-hawas hain shayad
pure number nahin milte hamein nadani par
haar kar dil jise sab saunp diya tha 'amir'
wo bhi raazi na hua dil ki jahanbani par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.