kakul-o-ruKH hi nahin sham-o-sahar aur bhi hain
kākul-o-ruḳh hī nahīñ shām-o-sahar aur bhī haiñ
ek tum hī nahīñ armān-e-nazar aur bhī haiñ
dāġh-e-dil aur bhī haiñ zaḳhm-e-nazar aur bhī haiñ
sho.ala-e-gul ke sivā sho.ala-e-tar aur bhī haiñ
husn vaale tirī in nīchī nigāhoñ kī qasam
mahfil-e-husn ke ādāb-e-nazar aur bhī haiñ
ik ġham-e-dost pe mauqūf nahīñ betābi
markaz-e-silsila-e-dard-e-jigar aur bhī haiñ
masjid-o-dair-o-ḳharābāt pe kuchh ḳhatm nahīñ
dil salāmat to gulistān-e-bashar aur bhī haiñ
rāhbar thak ga.e ab dekhiye kyā hotā hai
qāfile ko abhī darpesh safar aur bhī haiñ
rahnumāoñ ke nishānāt-e-qadam hī pe na chal
ham-safar sham-e-sar-e-rāh-guzar aur bhī haiñ
zor-e-bāzū pe nahīñ bas dil-e-insāñ kī qasam
chāhe insāñ to rah-e-fat.h-o-zafar aur bhī haiñ
kakul-o-ruKH hi nahin sham-o-sahar aur bhi hain
ek tum hi nahin arman-e-nazar aur bhi hain
dagh-e-dil aur bhi hain zaKHm-e-nazar aur bhi hain
shoala-e-gul ke siwa shoala-e-tar aur bhi hain
husn wale teri in nichi nigahon ki qasam
mahfil-e-husn ke aadab-e-nazar aur bhi hain
ek gham-e-dost pe mauquf nahin betabi
markaz-e-silsila-e-dard-e-jigar aur bhi hain
masjid-o-dair-o-KHarabaat pe kuchh KHatm nahin
dil salamat to gulistan-e-bashar aur bhi hain
rahbar thak gae ab dekhiye kya hota hai
qafile ko abhi darpesh safar aur bhi hain
rahnumaon ke nishanat-e-qadam hi pe na chal
ham-safar sham-e-sar-e-rah-guzar aur bhi hain
zor-e-bazu pe nahin bas dil-e-insan ki qasam
chahe insan to rah-e-fath-o-zafar aur bhi hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.