kali hawa chali gai rang-e-ziyan uchhaal ke
kaalī havā chalī ga.ī rang-e-ziyāñ uchhāl ke
mere dayār meñ gulo rakhnā qadam sañbhāl ke
bād-e-sahar ḳhamosh thī jāgtī thiiñ samā'ateñ
mere laboñ pe raqs meñ harf the arz-e-hāl ke
chashm darīche shauq ke band kiye ga.e sabhī
aur haTā diye ga.e parde dar-e-ḳhayāl ke
mauj-e-shamīm is liye chuum rahī hai gard-e-rāh
vo bhī musāfiroñ meñ hai qāfila-e-jamāl ke
āḳhirī had nahīñ hai duur ab na bahut kare ġhurūr
zulm ko de do ye ḳhabar aa ga.e din zavāl ke
koī zamīñ ho koī bahr jaise nikāltā huuñ maiñ
koī dikhā.e to mujhe she'r na.e nikāl ke
jaanā jo chāhtā hai tū kū-e-yaqīn kī taraf
rāste pahle band kar kūcha-e-ehtimāl ke
ek savāl se mire ho ga.e lā-javāb sab
koī javāb detā kyā ruḳh the ka.ī savāl ke
koī bhī naqsh-e-zindagī mujh se nihāñ na rah sakā
merī nazar meñ haiñ 'mujīb' aa.ine māh-o-sāl ke
kali hawa chali gai rang-e-ziyan uchhaal ke
mere dayar mein gulo rakhna qadam sanbhaal ke
baad-e-sahar KHamosh thi jagti thin sama'aten
mere labon pe raqs mein harf the arz-e-haal ke
chashm dariche shauq ke band kiye gae sabhi
aur haTa diye gae parde dar-e-KHayal ke
mauj-e-shamim is liye chum rahi hai gard-e-rah
wo bhi musafiron mein hai qafila-e-jamal ke
aaKHiri had nahin hai dur ab na bahut kare ghurur
zulm ko de do ye KHabar aa gae din zawal ke
koi zamin ho koi bahr jaise nikalta hun main
koi dikhae to mujhe she'r nae nikal ke
jaana jo chahta hai tu ku-e-yaqin ki taraf
raste pahle band kar kucha-e-ehtimal ke
ek sawal se mere ho gae la-jawab sab
koi jawab deta kya ruKH the kai sawal ke
koi bhi naqsh-e-zindagi mujh se nihan na rah saka
meri nazar mein hain 'mujib' aaine mah-o-sal ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.