kali raaton mein fasil-e-dard unchi ho gai
kaalī rātoñ meñ fasīl-e-dard ūñchī ho ga.ī
andhī galiyoñ meñ ḳhamoshī laash ban ke so ga.ī
barf se ThanDe añdheroñ kī sisaktī god meñ
marte lamhoñ kī udāsī dil meñ kāñTe bo ga.ī
shahr kī sotī chhateñ hoñ yā fasurda rāste
qatra qatra girtī shabnam sab kā chehra dho ga.ī
niind meñ Duube shajar se chīḳhte panchhī uḌe
ḳhauf ke maare havā meñ kapkapī sī ho ga.ī
is akele-pan ke hāthoñ ham to 'fikrī' mar ga.e
vo sadā jo DhūñDtī thī jangaloñ meñ kho ga.ī
kali raaton mein fasil-e-dard unchi ho gai
andhi galiyon mein KHamoshi lash ban ke so gai
barf se ThanDe andheron ki sisakti god mein
marte lamhon ki udasi dil mein kanTe bo gai
shahr ki soti chhaten hon ya fasurda raste
qatra qatra girti shabnam sab ka chehra dho gai
nind mein Dube shajar se chiKHte panchhi uDe
KHauf ke mare hawa mein kapkapi si ho gai
is akele-pan ke hathon hum to 'fikri' mar gae
wo sada jo DhunDti thi jangalon mein kho gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.