kali zulfon mein teri aisa bhi kya rakkha hai
kaalī zulfoñ meñ tirī aisā bhī kyā rakkhā hai
be-sabab Dhoñg sā logoñ ne rachā rakkhā hai
ham jo kahte haiñ tumheñ dīn-dharam shām-o-sahar
ham ne ik ḳhol sā chehre pe chaḌhā rakkhā hai
har na.ī iiñT se miltā hai nayā ik shā.ir
ham ne andāz magar sab se judā rakkhā hai
sunte hī zikr galī-kūchoñ meñ ma.ashūq kā ham
bas yahī soch ke chal dete haiñ kyā rakkhā hai
ham ne rakkhā hai tumheñ dil meñ chhupā kar sab se
had hai be-sūd tumheñ sar pe chaḌhā rakkhā hai
kali zulfon mein teri aisa bhi kya rakkha hai
be-sabab Dhong sa logon ne racha rakkha hai
hum jo kahte hain tumhein din-dharam sham-o-sahar
hum ne ek KHol sa chehre pe chaDha rakkha hai
har nai inT se milta hai naya ek shair
hum ne andaz magar sab se juda rakkha hai
sunte hi zikr gali-kuchon mein mashuq ka hum
bas yahi soch ke chal dete hain kya rakkha hai
hum ne rakkha hai tumhein dil mein chhupa kar sab se
had hai be-sud tumhein sar pe chaDha rakkha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.