kaam aata gham-e-nihan dil ka
kaam aatā ġham-e-nihāñ dil kā
kaash karte vo imtihāñ dil kā
sharh-e-afsāna-e-mohabbat hai
chashm-e-tar hai mirī bayāñ dil kā
kah ga.ī sab ḳhamoshī-e-bejā
raaz rahtā hai kab nihāñ dil kā
is meñ un kā bhī kuchh ishāra hai
dushman-e-jāñ hai āsmāñ dil kā
mujh ko dete haiñ kyoñ naved-e-nashāt
ālam-e-ġham na ho ayaañ dil kā
tū huā jab se jāguzīñ dil meñ
zarra-zarra hai āsmāñ dil kā
kyoñ sarāpā alam na ban jaatī
dāstāñ dil kī thī bayāñ dil kā
kyā dikhā.eñ kise dikhā.eñ ham
zaḳhm aur zaḳhm-e-be-nishāñ dil kā
be-ḳhudī dil kī khīñch laa.ī kahāñ
koī mahram nahīñ jahāñ dil kā
sarzamīñ ishq kī vahīñ samjho
qadam aa ke ruke jahāñ dil kā
jis ne maarā usī pe martā hai
dushman-e-jāñ hai jān-e-jāñ dil kā
koī is tarah bhī miTātā hai
kuchh to chhoḌo kahīñ nishāñ dil kā
gum huā apnī vus.atoñ meñ ḳhud
luT gayā ḳhud hī kārvāñ dil kā
jaan jaatī hai gar to jaa.e 'junūñ'
raaz aa.e na tā-zabāñ dil kā
kaam aata gham-e-nihan dil ka
kash karte wo imtihan dil ka
sharh-e-afsana-e-mohabbat hai
chashm-e-tar hai meri bayan dil ka
kah gai sab KHamoshi-e-beja
raaz rahta hai kab nihan dil ka
is mein un ka bhi kuchh ishaara hai
dushman-e-jaan hai aasman dil ka
mujh ko dete hain kyon nawed-e-nashat
aalam-e-gham na ho ayan dil ka
tu hua jab se jaguzin dil mein
zarra-zarra hai aasman dil ka
kyon sarapa alam na ban jati
dastan dil ki thi bayan dil ka
kya dikhaen kise dikhaen hum
zaKHm aur zaKHm-e-be-nishan dil ka
be-KHudi dil ki khinch lai kahan
koi mahram nahin jahan dil ka
sarzamin ishq ki wahin samjho
qadam aa ke ruke jahan dil ka
jis ne mara usi pe marta hai
dushman-e-jaan hai jaan-e-jaan dil ka
koi is tarah bhi miTata hai
kuchh to chhoDo kahin nishan dil ka
gum hua apni wusaton mein KHud
luT gaya KHud hi karwan dil ka
jaan jati hai gar to jae 'junun'
raaz aae na ta-zaban dil ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.