kaam aaya na hawas ka bhi sahaara yaro
kaam aaya na havas kā bhī sahārā yaaro
saḳht thā marhala-e-tark-e-tamannā yaaro
bār-e-ishrat to nahīñ hai ki rifāqat DhūñDeñ
baar ġham kā hai uThāo ise tanhā yaaro
aaj ke baad na ho bār-e-samā.at shāyad
merā shikva ki jo thā shikva-e-bejā yaaro
itnī bhī ḳhūn-shudan dil kī shikāyat kyoñ hai
thā ye minjumla-e-ādāb-e-tamannā yaaro
maiñ nahīñ shākī-e-bedād-e-zamāna ki maiñ huuñ
apnī hī ruashnī-e-tab.a kā maarā yaaro
kaam aaya na hawas ka bhi sahaara yaro
saKHt tha marhala-e-tark-e-tamanna yaro
bar-e-ishrat to nahin hai ki rifaqat DhunDen
bar gham ka hai uThao ise tanha yaro
aaj ke baad na ho bar-e-samaat shayad
mera shikwa ki jo tha shikwa-e-beja yaro
itni bhi KHun-shudan dil ki shikayat kyon hai
tha ye minjumla-e-adab-e-tamanna yaro
main nahin shaki-e-bedad-e-zamana ki main hun
apni hi ruashni-e-taba ka mara yaro
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.