kaam aisa na koi kar pyare
kaam aisā na koī kar pyāre
jis meñ rusvā.ī kā ho Dar pyāre
kyā ta.ajjub ki aaj ke insāñ
ghar banā.eñ jo chāñd par pyāre
ġham kā dariyā udāsiyoñ kā shajar
hai yahī hāsil-e-hunar pyāre
nīm-jāñ haiñ tamām ġhuncha-o-gul
ye havāoñ kā hai asar pyāre
dil meñ sham.eñ tumhārī yādoñ kī
jaltī rahtī haiñ raat bhar pyāre
terī nazreñ sukūn paa.eñ jahāñ
vo to 'āzar' kā hai jigar pyāre
kaam aisa na koi kar pyare
jis mein ruswai ka ho Dar pyare
kya tajjub ki aaj ke insan
ghar banaen jo chand par pyare
gham ka dariya udasiyon ka shajar
hai yahi hasil-e-hunar pyare
nim-jaan hain tamam ghuncha-o-gul
ye hawaon ka hai asar pyare
dil mein shamen tumhaari yaadon ki
jalti rahti hain raat bhar pyare
teri nazren sukun paen jahan
wo to 'azar' ka hai jigar pyare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.