kaam baqi hai abhi kaam abhi baqi hai
kaam baaqī hai abhī kaam abhī baaqī hai
sar-e-āġhāz hai anjām abhī baaqī hai
razm-e-afkār meñ fursat hai kahāñ ahl-e-jahāñ
dard kī god meñ ārām abhī baaqī hai
ham ne har saañs ko sadqa kiyā duniyā pe tirī
haañ hisāb-e-diram-o-dām abhī baaqī hai
qatl-gāhoñ meñ utartā hai abhī sannāTā
abhī Thahro yahāñ kohrām abhī baaqī hai
raushnī ho na ho jaltā hai shabistān-e-vajūd
in siyah sho.aloñ kā ikrām abhī baaqī hai
naġhma-e-sūr karūseDī tamanna hī sahī
dosto gardish-e-ayyām abhī baaqī hai
bū-lahab ibn-e-muġhīra bhī abu-jehl bhī hai
ma.arka jaarī hai islām abhī baaqī hai
jāgnā hai jinheñ ye soch ke so jaate haiñ
raat baaqī hai abhī shaam abhī baaqī hai
bahr-e-iblīs meñ tūfān haiñ pinhāñ kitne
kahīñ hizyāñ kahīñ sarsām abhī baaqī hai
kaam baqi hai abhi kaam abhi baqi hai
sar-e-aghaz hai anjam abhi baqi hai
razm-e-afkar mein fursat hai kahan ahl-e-jahan
dard ki god mein aaram abhi baqi hai
hum ne har sans ko sadqa kiya duniya pe teri
han hisab-e-diram-o-dam abhi baqi hai
qatl-gahon mein utarta hai abhi sannaTa
abhi Thahro yahan kohram abhi baqi hai
raushni ho na ho jalta hai shabistan-e-wajud
in siyah shoalon ka ikram abhi baqi hai
naghma-e-sur karuseDi tamanna hi sahi
dosto gardish-e-ayyam abhi baqi hai
bu-lahab ibn-e-mughira bhi abu-jehl bhi hai
marka jari hai islam abhi baqi hai
jagna hai jinhen ye soch ke so jate hain
raat baqi hai abhi sham abhi baqi hai
bahr-e-iblis mein tufan hain pinhan kitne
kahin hizyan kahin sarsam abhi baqi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.