kaam bhi hum ajib karte hain
kaam bhī ham ajiib karte haiñ
chāhe jis ko raqīb karte haiñ
karke ḳhud zikr un se milne kā
rāz-dāñ ko raqīb karte haiñ
baat kuchh to zarūr hai varna
kab har ik ko habīb karte haiñ
kis tarah dūriyāñ ye hoñgī duur
duur jā kar qarīb karte haiñ
ishq kī dāstāñ sunāte hue
zikr-e-dār-o-salīb karte haiñ
un ke ḳhvāboñ meñ aur ham ai 'ovais'
chaah ye ḳhush-nasīb karte haiñ
kaam bhi hum ajib karte hain
chahe jis ko raqib karte hain
karke KHud zikr un se milne ka
raaz-dan ko raqib karte hain
baat kuchh to zarur hai warna
kab har ek ko habib karte hain
kis tarah duriyan ye hongi dur
dur ja kar qarib karte hain
ishq ki dastan sunate hue
zikr-e-dar-o-salib karte hain
un ke KHwabon mein aur hum ai 'owais'
chah ye KHush-nasib karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.