kaam hai jam se na matlab jam se
kaam hai jam se na matlab jaam se
āshnā haiñ lab tumhāre naam se
lab-ba-lab huuñ sāqī-e-gulfām se
āriyat le leñ muqaddar jaam se
ghar banānā hai kisī kī yaad kā
kaam lenā hai dil-e-nākām se
dil bhī āñkhoñ kī tarah mushtāq hai
lo utar aao tum apne baam se
chhā rahī hai mai-kashoñ par be-ḳhudī
kyā kahā shīshe ne jhuk kar jaam se
ik sitamgar se laḌātā huuñ nigāh
jaam ko Takrā rahā huuñ jaam se
eid hai hangāma-e-mahshar nahīñ
vo mileñge aaj ḳhās-o-ām se
qabr bhī jannat hai momin ke liye
chal ke 'muztar' so raho ārām se
kaam hai jam se na matlab jam se
aashna hain lab tumhaare nam se
lab-ba-lab hun saqi-e-gulfam se
aariyat le len muqaddar jam se
ghar banana hai kisi ki yaad ka
kaam lena hai dil-e-nakaam se
dil bhi aankhon ki tarah mushtaq hai
lo utar aao tum apne baam se
chha rahi hai mai-kashon par be-KHudi
kya kaha shishe ne jhuk kar jam se
ek sitamgar se laData hun nigah
jam ko Takra raha hun jam se
eid hai hangama-e-mahshar nahin
wo milenge aaj KHas-o-am se
qabr bhi jannat hai momin ke liye
chal ke 'muztar' so raho aaram se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.