kaam ek ye tere aashiq ne baDa KHub kiya
kaam ik ye tire āshiq ne baḌā ḳhuub kiyā
ḳhuun se likh ke ravāna tujhe maktūb kiyā
ye bhī kyā kam hai tirī bazm ke har sāme.a ne
mere sheroñ ko tirī zaat se mansūb kiyā
ik mire qatl pe vāvailā munāsib to nahīñ
shar-pasandoñ ne to iisā ko bhī maslūb kiyā
jism phūloñ sā thā siine meñ rakhā thā patthar
hausla dekhiye maiñ ne use mahbūb kiyā
kitne dīvānoñ ko farzāna kiyā hai tū ne
kitne farzānoñ ko tujh ishq ne majzūb kiyā
kaam ek ye tere aashiq ne baDa KHub kiya
KHun se likh ke rawana tujhe maktub kiya
ye bhi kya kam hai teri bazm ke har samea ne
mere sheron ko teri zat se mansub kiya
ek mere qatl pe wawaila munasib to nahin
shar-pasandon ne to isa ko bhi maslub kiya
jism phulon sa tha sine mein rakha tha patthar
hausla dekhiye main ne use mahbub kiya
kitne diwanon ko farzana kiya hai tu ne
kitne farzanon ko tujh ishq ne majzub kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.