kaam ka bhi Thikana nahin hai
kaam kā bhī Thikānā nahīñ hai
aur ghar meñ bhī daana nahīñ hai
jānte haiñ sazā hī vo deñge
jurm to kuchh batānā nahīñ hai
kah rahī hai hanak bādaloñ kī
dhuup ne muñh dikhānā nahīñ hai
ḳhuuñ jigar kā jalā.e binā kuchh
rang she'roñ meñ aanā nahīñ hai
āzmā.ish meñ rakhte ho kitnī
yaar ye dostāna nahīñ hai
gaḌ.h hī leñge vo sau sau bahāne
jin ko milnā milānā nahīñ hai
ziist meñ hausloñ ne hamāre
dabdaba ġham kā maanā nahīñ hai
kaam ka bhi Thikana nahin hai
aur ghar mein bhi dana nahin hai
jaante hain saza hi wo denge
jurm to kuchh batana nahin hai
kah rahi hai hanak baadalon ki
dhup ne munh dikhana nahin hai
KHun jigar ka jalae bina kuchh
rang she'ron mein aana nahin hai
aazmaish mein rakhte ho kitni
yar ye dostana nahin hai
gaDh hi lenge wo sau sau bahane
jin ko milna milana nahin hai
zist mein hauslon ne hamare
dabdaba gham ka mana nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.