kaam koi to kaam ka karte
kaam koī to kaam kā karte
haq to ye thā ki haq adā karte
kyā tarīqa hai bādshāhat kā
ham faqīroñ se mashvara karte
us sitamgar kī ye bhī ḳhvāhish thī
zulm sah kar bhī iltijā karte
jaarī rakhte ye silsila kab tak
vo burā aur ham bhalā karte
be-ḳhatā bhī sazā.eñ bhugTī haiñ
ham ḳhatā.eñ nahīñ to kyā karte
lab khule hī na rū-ba-rū un ke
kis tarah arz-e-mudda.ā karte
qarz kā bojh thā kisānoñ par
ḳhud-kushī ke alāva kyā karte
baad meñ karte faisla pahle
apne dil se to mashvara karte
mujh pe tohmat lagāne vaale log
pahle ḳhud ko to aa.ina karte
ḳhud-parastī hī jin kā sheva hai
aise logoñ se kyā gila karte
kaam koi to kaam ka karte
haq to ye tha ki haq ada karte
kya tariqa hai baadshahat ka
hum faqiron se mashwara karte
us sitamgar ki ye bhi KHwahish thi
zulm sah kar bhi iltija karte
jari rakhte ye silsila kab tak
wo bura aur hum bhala karte
be-KHata bhi sazaen bhugTi hain
hum KHataen nahin to kya karte
lab khule hi na ru-ba-ru un ke
kis tarah arz-e-muddaa karte
qarz ka bojh tha kisanon par
KHud-kushi ke alawa kya karte
baad mein karte faisla pahle
apne dil se to mashwara karte
mujh pe tohmat lagane wale log
pahle KHud ko to aaina karte
KHud-parasti hi jin ka shewa hai
aise logon se kya gila karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.