kaam kuchh to mera lahu aaya
kaam kuchh to mirā lahū aayā
baaġh meñ mausam-e-numū aayā
hijr meñ tere mujh pe kyā guzrī
aaj tak pūchhne na tū aayā
jis tarah maiñ ne tujh ko yaad kiyā
yaad yuuñ kab kisī ko tū aayā
terā kūcha hai yā koī maqtal
jo bhī aayā lahū lahū aayā
maiñ usī kī tarah milā us se
aa.ina ban ke rū-ba-rū aayā
ḳhatm daur-e-ḳhayāl-o-ḳhvāb huā
lamha-e-tark-e-ārzū aayā
rāste der tak rahe raushan
duur tak mere saath tū aayā
yaad aa.ī kisī kī phir 'ḳhāvar'
dil se āñkhoñ meñ phir lahū aayā
kaam kuchh to mera lahu aaya
bagh mein mausam-e-numu aaya
hijr mein tere mujh pe kya guzri
aaj tak puchhne na tu aaya
jis tarah main ne tujh ko yaad kiya
yaad yun kab kisi ko tu aaya
tera kucha hai ya koi maqtal
jo bhi aaya lahu lahu aaya
main usi ki tarah mila us se
aaina ban ke ru-ba-ru aaya
KHatm daur-e-KHayal-o-KHwab hua
lamha-e-tark-e-arzu aaya
raste der tak rahe raushan
dur tak mere sath tu aaya
yaad aai kisi ki phir 'KHawar'
dil se aankhon mein phir lahu aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.