kaam liya jab lafzon hi se KHud ko bas nakaam kiya
kaam liyā jab lafzoñ hī se ḳhud ko bas nākām kiyā
baat asar-andāz huī jab she'roñ ko paiġhām kiyā
ye kaise saarī duniyā meñ aaj bahut mash.hūr ho tum
vaise to saarī duniyā ne tum ko bahut gumnām kiyā
yak-rangī se 'ājiz aa kar rangā-rangī kī ḳhātir
jo mujh ko raas aayā thā us nīlam ko nīlām kiyā
aksar tanhā.ī meñ mujh ko yaad aa jaatā hai vo sab
haañ āġhāz se pahle hī jis ko maiñ ne anjām kiyā
ḳhāmoshī pas fan hai ḳhudā kā sīkhā ham ne bhī lekin
har-sū roz machāyā tahalka yā paidā kohrām kiyā
vaqt ke saath aur aap ke hāthoñ qadreñ kitnī badlī haiñ
ek ilzām se kitnā kam hai hāsil jo in'ām kiyā
kahiye husn aur 'ishq ko de kar apne dil ke ḳhuun kā lams
kis ne use gul-rang kiyā phir kis ne use gulfām kiyā
ab kā fasād ārām se guzre is koshish meñ us ne to
qashqa khīñchā dair meñ baiThā kab kā tark islām kiyā
kaam liya jab lafzon hi se KHud ko bas nakaam kiya
baat asar-andaz hui jab she'ron ko paigham kiya
ye kaise sari duniya mein aaj bahut mashhur ho tum
waise to sari duniya ne tum ko bahut gumnam kiya
yak-rangi se 'ajiz aa kar ranga-rangi ki KHatir
jo mujh ko ras aaya tha us nilam ko nilam kiya
aksar tanhai mein mujh ko yaad aa jata hai wo sab
han aaghaz se pahle hi jis ko main ne anjam kiya
KHamoshi pas fan hai KHuda ka sikha hum ne bhi lekin
har-su roz machaya tahalka ya paida kohram kiya
waqt ke sath aur aap ke hathon qadren kitni badli hain
ek ilzam se kitna kam hai hasil jo in'am kiya
kahiye husn aur 'ishq ko de kar apne dil ke KHun ka lams
kis ne use gul-rang kiya phir kis ne use gulfam kiya
ab ka fasad aaram se guzre is koshish mein us ne to
qashqa khincha dair mein baiTha kab ka tark islam kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.