kaam nimTa ke hum to so gae hain
kaam nimTā ke ham to so ga.e haiñ
dekhne-bhar ko ḳhvāb ho ga.e haiñ
jin ko manzil se koī shaġhl nahīñ
aise kuchh log saath ho ga.e haiñ
pahle vo kho.e jo the markaz-e-dīd
aur ab saath vaale kho ga.e haiñ
'ishq meñ aise kuchh sabaq bhī mile
jo hamesha ko yaad ho ga.e haiñ
lahlahā.egā phir hamārā vajūd
terī miTTī meñ ḳhud ko bo ga.e haiñ
yuuñ ki bas tere ās-pās thā maiñ
log mere bhī paañv dho ga.e haiñ
kaam nimTa ke hum to so gae hain
dekhne-bhar ko KHwab ho gae hain
jin ko manzil se koi shaghl nahin
aise kuchh log sath ho gae hain
pahle wo khoe jo the markaz-e-did
aur ab sath wale kho gae hain
'ishq mein aise kuchh sabaq bhi mile
jo hamesha ko yaad ho gae hain
lahlahaega phir hamara wajud
teri miTTi mein KHud ko bo gae hain
yun ki bas tere aas-pas tha main
log mere bhi panw dho gae hain
- Book : Dukh Naye Kapde Badal Kar (Pg. 85)
- Author : Shariq Kaifi
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.