kaam pahli hi mulaqat mein kar jata hun
kaam pahlī hī mulāqāt meñ kar jaatā huuñ
aañkh meñ aate hī maiñ dil meñ utar jaatā huuñ
pahle likhtā huuñ koī sher bahut mushkil se
aur phir us ko sunāte hue mar jaatā huuñ
yuuñ to tūfān bhī ghabrāte haiñ mujh se lekin
aap jab shor machātā huuñ to Dar jaatā huuñ
aise chhup-chhup ke lagātār tire kūche meñ
merā jaanā to nahīñ bantā magar jaatā huuñ
saarā din guzre hai ab ḳhud ko ikaTThā karte
raat hotī hai to maiñ phir se bikhar jaatā huuñ
kaam pahli hi mulaqat mein kar jata hun
aankh mein aate hi main dil mein utar jata hun
pahle likhta hun koi sher bahut mushkil se
aur phir us ko sunate hue mar jata hun
yun to tufan bhi ghabraate hain mujh se lekin
aap jab shor machata hun to Dar jata hun
aise chhup-chhup ke lagatar tere kuche mein
mera jaana to nahin banta magar jata hun
sara din guzre hai ab KHud ko ikaTTha karte
raat hoti hai to main phir se bikhar jata hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.