kaamyabon mein kaamranon mein
kāmyāboñ meñ kāmrānoñ meñ
ham baḌe haiñ baḌe gharānoñ meñ
vo ḳhamoshī hai 'aql-ḳhānoñ meñ
sīTiyāñ baj rahī haiñ kānoñ meñ
kis tarah qaht-e-fikr aa pahuñchā
hosh-mandoñ meñ fikr-dānoñ meñ
hijr har din manāyā jaatā hai
'ishq vāloñ ke ḳhāndānoñ meñ
un kī kamiyoñ ko Dhak diyā kiije
dil bhī hai dil ke kār-ḳhānoñ meñ
tum bhī kamzor aadmī nikle
tum bhī jā baiThe bad-gumānoñ meñ
merī jholī meñ Daal de us ko
kyā kamī hai tire ḳhazānoñ meñ
ham ne patthar saje hue dekhe
qīmtī kāñch kī dukānoñ meñ
aaj kyoñ chāñd itnā raushan hai
hañs paḌā kaun āsmānoñ meñ
ug paḌe bāñjh dhartiyoñ se gulāb
bol uThe log be-zabānoñ meñ
mere she'roñ pe tabsira hai 'sa'ūd'
gul-kadoñ meñ gulāb-ḳhānoñ meñ
kaamyabon mein kaamranon mein
hum baDe hain baDe gharanon mein
wo KHamoshi hai 'aql-KHanon mein
siTiyan baj rahi hain kanon mein
kis tarah qaht-e-fikr aa pahuncha
hosh-mandon mein fikr-danon mein
hijr har din manaya jata hai
'ishq walon ke KHandanon mein
un ki kamiyon ko Dhak diya kije
dil bhi hai dil ke kar-KHanon mein
tum bhi kamzor aadmi nikle
tum bhi ja baiThe bad-gumanon mein
meri jholi mein Dal de us ko
kya kami hai tere KHazanon mein
hum ne patthar saje hue dekhe
qimti kanch ki dukanon mein
aaj kyon chand itna raushan hai
hans paDa kaun aasmanon mein
ug paDe banjh dhartiyon se gulab
bol uThe log be-zabanon mein
mere she'ron pe tabsira hai 'sa'ud'
gul-kadon mein gulab-KHanon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.