kandhon pe un ke apna ye sar thoDi der tha
kāñdhoñ pe un ke apnā ye sar thoḌī der thā
jannat meñ zindagī kā safar thoḌī der thā
milne ke baad un se faqat itnā yaad hai
merā vajūd merā hunar thoḌī der thā
mahfil meñ naam kā tire charchā jo aa gayā
maiñ kyā batā.ūñ tujh ko kidhar thoḌī der thā
bāñhoñ meñ aa ga.e vo achānak hī jab merī
maiñ sach batā.ūñ mujh meñ bhī Dar thoḌī der thā
sāthī bhī saath apne khilaune bhī ḳhvāb bhī
sāhil kī ret pe koī ghar thoḌī der thā
kandhon pe un ke apna ye sar thoDi der tha
jannat mein zindagi ka safar thoDi der tha
milne ke baad un se faqat itna yaad hai
mera wajud mera hunar thoDi der tha
mahfil mein nam ka tere charcha jo aa gaya
main kya bataun tujh ko kidhar thoDi der tha
banhon mein aa gae wo achanak hi jab meri
main sach bataun mujh mein bhi Dar thoDi der tha
sathi bhi sath apne khilaune bhi KHwab bhi
sahil ki ret pe koi ghar thoDi der tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.