kandhon pe zindagi ki saliben liye hue
kāñdhoñ pe zindagī kī salībeñ liye hue
ġham phir rahe haiñ merā pata pūchhte hue
rahbar bhī rāhzan bhī haiñ logoñ kī bhiiḌ meñ
aao chaleñ idhar se udhar dekhte hue
ho aa.e jab ġhurūr kabhī ḳhud pe aap ko
sūraj ko dekh lenā kahīñ Dūbte hue
pahlī sī anjuman meñ rahī baat ab kahāñ
jī Dar rahā hai ab to yahāñ bolte hue
afsos kaaT dī hai yūñhī zindagī tamām
duniyā se jā rahe haiñ yahī sochte hue
āḳhir yahīñ milegā tumheñ dil ke ās-pās
sadiyoñ se phir rahe ho jise DhūñDte hue
lo vo bhī kah rahe haiñ 'kañval' bevafā mujhe
guzrī hai ek 'umr jinheñ pūjte hue
kandhon pe zindagi ki saliben liye hue
gham phir rahe hain mera pata puchhte hue
rahbar bhi rahzan bhi hain logon ki bhiD mein
aao chalen idhar se udhar dekhte hue
ho aae jab ghurur kabhi KHud pe aap ko
suraj ko dekh lena kahin Dubte hue
pahli si anjuman mein rahi baat ab kahan
ji Dar raha hai ab to yahan bolte hue
afsos kaT di hai yunhi zindagi tamam
duniya se ja rahe hain yahi sochte hue
aaKHir yahin milega tumhein dil ke aas-pas
sadiyon se phir rahe ho jise DhunDte hue
lo wo bhi kah rahe hain 'kanwal' bewafa mujhe
guzri hai ek 'umr jinhen pujte hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.