kanon ko hai bhai hui taqrir kisi ki
kanon ko hai bhai hui taqrir kisi ki
Jitendra Mohan Sinha Rahbar
MORE BYJitendra Mohan Sinha Rahbar
kānoñ ko hai bhaa.ī huī taqrīr kisī kī
āñkhoñ meñ samā.ī huī tasvīr kisī kī
kuchh 'ishq meñ chaltī nahīñ tadbīr kisī kī
sar phoḌ jo rah jaa.e hai taqdīr kisī kī
har zarre meñ hai jalva har ik qatre meñ hai aab
hai arsh pe chhā.ī huī tanvīr kisī kī
andāz butoñ ke nahīñ aate haiñ nazar meñ
rahtī hai nigāhoñ meñ jo tasvīr kisī kī
ḳhat paḌh ke kahīñ aur bigaḌ baiThe na yārab
yaad aa.ī hai abrū dam-e-tahrīr kisī kī
ye girya-o-zārī dil-e-betāb kahāñ tak
rusvā kahīñ ho jaa.e na taqsīr kisī kī
ik muntazir-e-dīd kī pathrā ga.iiñ āñkheñ
tāḳhīr kisī kī huī tā'zīr kisī kī
maiñ faḳhr se kahtā huuñ mujhe tum se hai ulfat
baḌhtī hai tire naam se tauqīr kisī kī
ruḳh pher magar sar na hile dekh ki zālim
aTkī hai tirī zulf meñ taqdīr kisī kī
mehmāñ hai koī din ke, chale jā.eñge 'rahbar'
baiTheñge nahīñ daab ke jāgīr kisī kī
kanon ko hai bhai hui taqrir kisi ki
aankhon mein samai hui taswir kisi ki
kuchh 'ishq mein chalti nahin tadbir kisi ki
sar phoD jo rah jae hai taqdir kisi ki
har zarre mein hai jalwa har ek qatre mein hai aab
hai arsh pe chhai hui tanwir kisi ki
andaz buton ke nahin aate hain nazar mein
rahti hai nigahon mein jo taswir kisi ki
KHat paDh ke kahin aur bigaD baiThe na yarab
yaad aai hai abru dam-e-tahrir kisi ki
ye girya-o-zari dil-e-betab kahan tak
ruswa kahin ho jae na taqsir kisi ki
ek muntazir-e-did ki pathra gain aankhen
taKHir kisi ki hui ta'zir kisi ki
main faKHr se kahta hun mujhe tum se hai ulfat
baDhti hai tere nam se tauqir kisi ki
ruKH pher magar sar na hile dekh ki zalim
aTki hai teri zulf mein taqdir kisi ki
mehman hai koi din ke, chale jaenge 'rahbar'
baiThenge nahin dab ke jagir kisi ki
- Book : Payaam-e-Rehber (Pg. 41)
- Author : Jitendra Mohan Sinha Rehber
- Publication : Karanti Gupta & Om Parkash Gupt C-1205, Rajaji Puram, Lucknow (1995)
- Edition : 1995
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.