kanon mein nachti thi kisi bansuri ki lahr
kanon mein nachti thi kisi bansuri ki lahr
Shahnaz Parveen Sahar
MORE BYShahnaz Parveen Sahar
kānoñ meñ nāchtī thī kisī bāñsurī kī lahr
āñchal meñ bhar ke laa.e the ham chāñdnī kī lahr
phir tiir kas rahā thā mire dil kī siidh meñ
tārāj kar ga.ī mujhe sharmindagī kī lahr
dariyā ko kis ke hijr ne pāmāl kar diyā
phir chāñd raat meñ uThī dīvāngī kī lahr
patthar tarāshte the tirī sūratoñ ke ham
aur sar meñ jāgtī thī tirī bandagī kī lahr
phir hijr zindagī meñ qarīne se aa gayā
muskān meñ dabī rahī afsurdagī kī lahr
kuchh ishq merī fahm se aage guzar gayā
kuchh ḳhaak meñ bikhartī ga.ī zindagī kī lahr
ye zindagī dhanak sī khulī aur bujh ga.ī
pīchhe thī ek miTtī huī ruḳhsatī kī lahr
bistar lagā ga.e haiñ añdhere makān meñ
shāyad 'sahar' yahīñ ho kahīñ raushnī kī lahr
kanon mein nachti thi kisi bansuri ki lahr
aanchal mein bhar ke lae the hum chandni ki lahr
phir tir kas raha tha mere dil ki sidh mein
taraj kar gai mujhe sharmindagi ki lahr
dariya ko kis ke hijr ne pamal kar diya
phir chand raat mein uThi diwangi ki lahr
patthar tarashte the teri suraton ke hum
aur sar mein jagti thi teri bandagi ki lahr
phir hijr zindagi mein qarine se aa gaya
muskan mein dabi rahi afsurdagi ki lahr
kuchh ishq meri fahm se aage guzar gaya
kuchh KHak mein bikharti gai zindagi ki lahr
ye zindagi dhanak si khuli aur bujh gai
pichhe thi ek miTti hui ruKHsati ki lahr
bistar laga gae hain andhere makan mein
shayad 'sahar' yahin ho kahin raushni ki lahr
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.