kanpte honTon pe alfaz purane rakh le
kāñpte hoñToñ pe alfāz purāne rakh le
koī afsāna banā kuchh to bahāne rakh le
agle mausam ke to kuchh aur hī qisse hoñge
apne hisse meñ vahī biite zamāne rakh le
ḳhvāb ke shahr meñ bhaTkegā ḳhayāloñ kā safīr
merī tasvīr mirā ḳhat bhī sirhāne rakh le
shabnamī dhuup ke āñchal meñ sitāre haiñ bahut
chāñdnī āñkhoñ meñ kuchh phuul suhāne rakh le
apne hoñToñ kī hañsī māñgne vaale sab haiñ
apnī palkoñ pe 'asad' ashk ke daane rakh le
kanpte honTon pe alfaz purane rakh le
koi afsana bana kuchh to bahane rakh le
agle mausam ke to kuchh aur hi qisse honge
apne hisse mein wahi bite zamane rakh le
KHwab ke shahr mein bhaTkega KHayalon ka safir
meri taswir mera KHat bhi sirhane rakh le
shabnami dhup ke aanchal mein sitare hain bahut
chandni aankhon mein kuchh phul suhane rakh le
apne honTon ki hansi mangne wale sab hain
apni palkon pe 'asad' ashk ke dane rakh le
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.