kanTa sa mere jism ki gahraiyon mein tha
kāñTā sā mere jism kī gahrā.iyoñ meñ thā
ehsās-e-karb raat kī tanhā.iyoñ meñ thā
har samt qatl-o-ḳhūn kā bāzār thā magar
amn-o-amāñ kā zikr bhī dānā.iyoñ meñ thā
ham ko qafas ke kunj meñ ye bhī pata chalā
us kā payām sub.h kī purvā.iyoñ meñ thā
pinhāñ nahīñ thā sirf mulāqāt kā bayāñ
hijrāñ kā kuchh malāl bhī shahnā.iyoñ meñ thā
sastī kahāñ thī shahr-e-nigārāñ meñ koī shai
jalva bhī us ke husn kā mahñgā.iyoñ meñ thā
dāman jhaTak ke kis liye mahfil se uTh ga.e
'mas.ūd' bhī to aap ke shaidā.iyoñ meñ thā
kanTa sa mere jism ki gahraiyon mein tha
ehsas-e-karb raat ki tanhaiyon mein tha
har samt qatl-o-KHun ka bazar tha magar
amn-o-aman ka zikr bhi danaiyon mein tha
hum ko qafas ke kunj mein ye bhi pata chala
us ka payam subh ki purwaiyon mein tha
pinhan nahin tha sirf mulaqat ka bayan
hijran ka kuchh malal bhi shahnaiyon mein tha
sasti kahan thi shahr-e-nigaran mein koi shai
jalwa bhi us ke husn ka mahngaiyon mein tha
daman jhaTak ke kis liye mahfil se uTh gae
'masud' bhi to aap ke shaidaiyon mein tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.