kanTe hain kahin aag kahin sang kahin hai
kāñTe haiñ kahīñ aag kahīñ sang kahīñ hai
ye rāh-e-mohabbat hai kuchh āsān nahīñ hai
tū paas agar hai to har ik chiiz hasīñ hai
sahrā bhī nigāhoñ meñ mirī ḳhuld-e-barīñ hai
tā-umr nibhāne kī qasam khaa.ī thī tū ne
vo ahd-e-mohabbat bhī tujhe yaad nahīñ hai
ho jaa.e fanā zāt-e-ḳhudā meñ jo koī zaat
kyā DhūñDte ho us ko makāñ hai na makīñ hai
ai husn-e-haqīqat tū kabhī jalva dikhā de
sajdoñ kī amānat liye betāb jabīñ hai
vo chāhe to qadmoñ meñ zamāne ke jhukāve
kahne ko tire dar kā gadā ḳhāk-nashīñ hai
ehsās-e-ġham-e-dūrī huā hī nahīñ mujh ko
mahsūs huā jab se ki tū dil ke qarīñ hai
bikhrā huā maiḳhāne kā shīrāza hai kab se
saaqī hai kahīñ mai hai kahīñ jaam kahīñ hai
haiñ jalve nigāhoñ meñ mirī kaun-o-makāñ ke
chhup jaa.e koī mujh se ye mumkin hī nahīñ hai
kyā nazr karūñ gardish-e-daurāñ ko 'zamīr' aaj
jiine kī tamanna bhī mire paas nahīñ hai
kanTe hain kahin aag kahin sang kahin hai
ye rah-e-mohabbat hai kuchh aasan nahin hai
tu pas agar hai to har ek chiz hasin hai
sahra bhi nigahon mein meri KHuld-e-barin hai
ta-umr nibhane ki qasam khai thi tu ne
wo ahd-e-mohabbat bhi tujhe yaad nahin hai
ho jae fana zat-e-KHuda mein jo koi zat
kya DhunDte ho us ko makan hai na makin hai
ai husn-e-haqiqat tu kabhi jalwa dikha de
sajdon ki amanat liye betab jabin hai
wo chahe to qadmon mein zamane ke jhukawe
kahne ko tere dar ka gada KHak-nashin hai
ehsas-e-gham-e-duri hua hi nahin mujh ko
mahsus hua jab se ki tu dil ke qarin hai
bikhra hua maiKHane ka shiraaza hai kab se
saqi hai kahin mai hai kahin jam kahin hai
hain jalwe nigahon mein meri kaun-o-makan ke
chhup jae koi mujh se ye mumkin hi nahin hai
kya nazr karun gardish-e-dauran ko 'zamir' aaj
jine ki tamanna bhi mere pas nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.