kanTe hi kanTe hain ta-hadd-e-nazar
kāñTe hī kāñTe haiñ tā-hadd-e-nazar
phir bhī taaza hai mirā azm-e-safar
rahzanoñ kī rahnumā.ī dekh kar
aaj tharrātī hai ik ik rahguzār
Dho rahe ho kis liye patthar kā bojh
ho ga.e mismār sab shīshe ke ghar
chaliye vīrānoñ meñ basne ke liye
shahr to barbādiyoñ ke haiñ khañDar
aa ga.ī sub.h-e-tarab to kyā huā
suunā suunā hai mire dil kā nagar
jin se hotā hai faroġh-e-āzarī
aah vo kis kaam ke ilm-o-hunar
kāmrānī paañv chūmegī 'kamāl'
dekhiye ġhairoñ kā dāman chhoḌ kar
kanTe hi kanTe hain ta-hadd-e-nazar
phir bhi taza hai mera azm-e-safar
rahzanon ki rahnumai dekh kar
aaj tharraati hai ek ek rahguzar
Dho rahe ho kis liye patthar ka bojh
ho gae mismar sab shishe ke ghar
chaliye viranon mein basne ke liye
shahr to barbaadiyon ke hain khanDar
aa gai subh-e-tarab to kya hua
suna suna hai mere dil ka nagar
jin se hota hai farogh-e-azari
aah wo kis kaam ke ilm-o-hunar
kaamrani panw chumegi 'kamal'
dekhiye ghairon ka daman chhoD kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.