kanTon ki bhi zaban pe gulistan ki baat hai
kāñToñ kī bhī zabāñ pe gulistāñ kī baat hai
lab par raqīb ke ġham-e-jānāñ kī baat hai
gul kī qabā ko dekhā to bulbul ne ye kahā
ahl-e-junūñ meñ chāk-garebāñ kī baat hai
aariz pe un ke zulf-e-pareshāñ hai aaj kyoñ
shāyad marīz-e-ishq ke darmāñ kī baat hai
azm-e-javāñ agar hai nayā āshiyāñ banā
gulshan meñ aaj jashn-e-charāġhāñ kī baat hai
haiñ jā-e-andalīb yahāñ chand bāl-o-par
zindāñ kī baat ab hai na darbāñ kī baat hai
hosh-o-ḳhirad bahār meñ ruḳhsat hue 'kamāl'
dāman rafū kiyā to garebāñ kī baat hai
kanTon ki bhi zaban pe gulistan ki baat hai
lab par raqib ke gham-e-jaanan ki baat hai
gul ki qaba ko dekha to bulbul ne ye kaha
ahl-e-junun mein chaak-gareban ki baat hai
aariz pe un ke zulf-e-pareshan hai aaj kyon
shayad mariz-e-ishq ke darman ki baat hai
azm-e-jawan agar hai naya aashiyan bana
gulshan mein aaj jashn-e-charaghan ki baat hai
hain ja-e-andalib yahan chand baal-o-par
zindan ki baat ab hai na darban ki baat hai
hosh-o-KHirad bahaar mein ruKHsat hue 'kamal'
daman rafu kiya to gareban ki baat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.