kanTon ki mayyat mein baDi der raha hai
kāñToñ kī ma.ayyat meñ baḌī der rahā hai
jis shaḳhs kī bātoñ meñ gulāboñ kā asar hai
manzil abhī aage hai ki chhoḌ aayā huuñ pīchhe
muddat se safar meñ huuñ mujhe itnī ḳhabar hai
shohrat kī talab hai ki hai iz.hār kā chaskā
ye kasb-e-satā.ish hai ki phir kasb-e-hunar hai
tū baalā hai rutbe meñ so maiñ maan rahā huuñ
hālāñki tirī baat kā paañv hai na sar hai
ai yaar batā kuchh to mohabbat kī haqīqat
makḌī kā ye jaalā hai ki phir dām-e-nazar hai
iḳhlās hī baa.is thā ta.alluq kā hamāre
lekin vo mire hamdam-e-derīna kidhar hai
maiñ yaar samajhtā huuñ zamāna tujhe ham-rāz
tū ek zamāne se idhar hai na udhar hai
kis moḌ pe le aa.ī hai ab terī mohabbat
jab tere bichhaḌne meñ nafā hai na zarar hai
'jāzib' nahīñ khilte haiñ bagūloñ meñ saman to
aur tū ki tamannā.ī-e-e.ajāz-e-nazar hai
kanTon ki mayyat mein baDi der raha hai
jis shaKHs ki baaton mein gulabon ka asar hai
manzil abhi aage hai ki chhoD aaya hun pichhe
muddat se safar mein hun mujhe itni KHabar hai
shohrat ki talab hai ki hai izhaar ka chaska
ye kasb-e-sataish hai ki phir kasb-e-hunar hai
tu baala hai rutbe mein so main man raha hun
haalanki teri baat ka panw hai na sar hai
ai yar bata kuchh to mohabbat ki haqiqat
makDi ka ye jala hai ki phir dam-e-nazar hai
iKHlas hi bais tha talluq ka hamare
lekin wo mere hamdam-e-derina kidhar hai
main yar samajhta hun zamana tujhe ham-raaz
tu ek zamane se idhar hai na udhar hai
kis moD pe le aai hai ab teri mohabbat
jab tere bichhaDne mein nafa hai na zarar hai
'jazib' nahin khilte hain bagulon mein saman to
aur tu ki tamannai-e-eajaz-e-nazar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.