kanTon ko chum le na koi iztirab mein
kāñToñ ko chuum le na koī iztirāb meñ
rakh dī hai kis ne aap kī ḳhushbū gulāb meñ
mahkā rahā hai aaj bhī mere vajūd ko
rakkhā thā ik gulāb jo tū ne kitāb meñ
thā kis kī āstīn pe maqtūl kā lahū
likkhā gayā hai qatl ye kis ke hisāb meñ
phirtā huuñ laash kāñdhoñ pe apnī liye hue
sadme uThā.e maiñ ne vo ahd-e-shabāb meñ
pūchhā tabīb se jo ġham-e-ishq kā ilaaj
likkhā hai us ne ishq-e-mukarrar javāb meñ
paḌtī haiñ jis taraf ye girātī haiñ bijliyāñ
rakhiye nigāheñ apnī ḳhudārā naqāb meñ
dastak pe un kī raat achānak maiñ chauñk uThā
pūchhā jo maiñ ne kaun vo bole janāb maiñ
shāyad ġham-e-hayāt kī talḳhī miTā sakeñ
piine lagā huuñ ashk milā kar sharāb meñ
hamrāh ishq bhī hai ġham-e-zīst bhī 'fahīm'
maiñ mubtalā huuñ in dinoñ duhre azaab meñ
kanTon ko chum le na koi iztirab mein
rakh di hai kis ne aap ki KHushbu gulab mein
mahka raha hai aaj bhi mere wajud ko
rakkha tha ek gulab jo tu ne kitab mein
tha kis ki aastin pe maqtul ka lahu
likkha gaya hai qatl ye kis ke hisab mein
phirta hun lash kandhon pe apni liye hue
sadme uThae main ne wo ahd-e-shabab mein
puchha tabib se jo gham-e-ishq ka ilaj
likkha hai us ne ishq-e-mukarrar jawab mein
paDti hain jis taraf ye giraati hain bijliyan
rakhiye nigahen apni KHudara naqab mein
dastak pe un ki raat achanak main chaunk uTha
puchha jo main ne kaun wo bole janab main
shayad gham-e-hayat ki talKHi miTa saken
pine laga hun ashk mila kar sharab mein
hamrah ishq bhi hai gham-e-zist bhi 'fahim'
main mubtala hun in dinon duhre azab mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.