kanTon ne tham tham ke daman kabhi kabhi
kāñToñ ne thaam thaam ke dāmāñ kabhī kabhī
pūchhī hai vajh-e-hāl-e-pareshāñ kabhī kabhī
mushkil huī hai ziist meñ āsāñ kabhī kabhī
sāhil kā lutf de gayā tūfāñ kabhī kabhī
kitnī latīf-o-shabnamī hotī hai zindagī
ro kar to dekh ai gul-e-ḳhandāñ kabhī kabhī
māhaul ai asīr-e-qafas ḳhū badal na de
phirtā rahe nazar meñ gulistāñ kabhī kabhī
mere mazāq-e-ishq pe uThtī haiñ uñgliyāñ
kāfir kabhī kabhī huuñ musalmāñ kabhī kabhī
dil meñ samā rahī haiñ do-ālam kī vus.ateñ
kartā huuñ uzr-e-tangī-e-dāmāñ kabhī kabhī
tasvīr kī zabāñ se 'musavvir' kī dāstāñ
suntī hai tham ke gardish-e-daurāñ kabhī kabhī
kanTon ne tham tham ke daman kabhi kabhi
puchhi hai wajh-e-haal-e-pareshan kabhi kabhi
mushkil hui hai zist mein aasan kabhi kabhi
sahil ka lutf de gaya tufan kabhi kabhi
kitni latif-o-shabnami hoti hai zindagi
ro kar to dekh ai gul-e-KHandan kabhi kabhi
mahaul ai asir-e-qafas KHu badal na de
phirta rahe nazar mein gulistan kabhi kabhi
mere mazaq-e-ishq pe uThti hain ungliyan
kafir kabhi kabhi hun musalman kabhi kabhi
dil mein sama rahi hain do-alam ki wusaten
karta hun uzr-e-tangi-e-daman kabhi kabhi
taswir ki zaban se 'musawwir' ki dastan
sunti hai tham ke gardish-e-dauran kabhi kabhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.