kanTon se kyon itni nafrat
kāñToñ se kyoñ itnī nafrat
kāñTe bhī haiñ baaġh kī zīnat
un kā ġham aur un kī mohabbat
ye bhī ne.amat vo bhī ne.amat
chāñd bhī hai taare bhī lekin
shām-e-furqat shām-e-furqat
āñkheñ haiñ to paḌhte chaliye
har zarra hai ek hikāyat
kāñToñ kā muñh chuum rahā huuñ
dekh ke fasl-e-gul kī hālat
maiñ aur merī tishna-kāmī
saaqī aur da.avā-e-saḳhāvat
bejā hai qismat kā shikva
himmat se bantī hai qismat
dair-o-haram ke jhagḌe chhoḌo
husn-e-amal hai asl ibādat
rahmat ne dāman phailāyā
dekh ke mere ashk-e-nadāmat
kyoñ na tirā ġham dil meñ chhupā luuñ
terā ġham hai merī daulat
maut kī ḳhvāhish karne vaalo
bhuul ga.e kyā ziist kī azmat
maiñ bhī chup huuñ vo bhī chup haiñ
ye bhī hai andāz-e-mohabbat
kaise 'bahār' un ko maiñ bhulā duuñ
un kā ġham hai merī qismat
kanTon se kyon itni nafrat
kanTe bhi hain bagh ki zinat
un ka gham aur un ki mohabbat
ye bhi neamat wo bhi neamat
chand bhi hai tare bhi lekin
sham-e-furqat sham-e-furqat
aankhen hain to paDhte chaliye
har zarra hai ek hikayat
kanTon ka munh chum raha hun
dekh ke fasl-e-gul ki haalat
main aur meri tishna-kaami
saqi aur dawa-e-saKHawat
beja hai qismat ka shikwa
himmat se banti hai qismat
dair-o-haram ke jhagDe chhoDo
husn-e-amal hai asl ibaadat
rahmat ne daman phailaya
dekh ke mere ashk-e-nadamat
kyon na tera gham dil mein chhupa lun
tera gham hai meri daulat
maut ki KHwahish karne walo
bhul gae kya zist ki azmat
main bhi chup hun wo bhi chup hain
ye bhi hai andaz-e-mohabbat
kaise 'bahaar' un ko main bhula dun
un ka gham hai meri qismat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.