kanTon tumhein phulon ki chubhan yaad rahegi
kāñToñ tumheñ phūloñ kī chubhan yaad rahegī
bhūloge ki rūdād-e-chaman yaad rahegī
kyā bhūlne degī vo mujhe rāt-kī-rānī
vo zulf vo ḳhushbu-e-badan yaad rahegī
ye zaḳhm-e-dil-e-zār to bhar jā.egā ik din
lekin tire māthe kī shikan yaad rahegī
thā sāya-fagan jis pe koī fat.h kā parcham
vo laash bhī be gor-o-kafan yaad rahegī
manzil pe maza degī mujhe lazzat-e-manzil
ya.anī mujhe qadmoñ kī thakan yaad rahegī
ye sach hai mujhe daad kī ḳhvāhish nahīñ 'saulat'
nā-qadrī-e-arbāb-e-suḳhan yaad rahegī
kanTon tumhein phulon ki chubhan yaad rahegi
bhuloge ki rudad-e-chaman yaad rahegi
kya bhulne degi wo mujhe raat-ki-rani
wo zulf wo KHushbu-e-badan yaad rahegi
ye zaKHm-e-dil-e-zar to bhar jaega ek din
lekin tere mathe ki shikan yaad rahegi
tha saya-fagan jis pe koi fath ka parcham
wo lash bhi be gor-o-kafan yaad rahegi
manzil pe maza degi mujhe lazzat-e-manzil
yani mujhe qadmon ki thakan yaad rahegi
ye sach hai mujhe dad ki KHwahish nahin 'saulat'
na-qadri-e-arbab-e-suKHan yaad rahegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.